- Kanika Chauhan
Ye kaun aaya shabistan ke Khwab pahne hue
SAQI FARUQI
ye kaun aayā shabistāñ ke ḳhvāb pahne hue sitāre oḌhe hue māhtāb pahne hue
tamām jism kī uryāniyāñ thiiñ āñkhoñ meñ vo merī ruuh meñ utrā hijāb pahne hue
mujhe kahīñ koī chashma nazar nahīñ aayā hazār dasht paḌe the sarāb pahne hue
qadam qadam pe thakan sāz-bāz kartī hai sisak rahā huuñ safar kā azaab pahne hue
magar sabāt nahīñ be-sabīl rastoñ meñ ki paañv so ga.e ‘sāqī’ rikāb pahne hue
1 view0 comments