- Kanika Chauhan
Koi ummid bar nahin aati
MIRZA GHALIB
koī ummīd bar nahīñ aatī koī sūrat nazar nahīñ aatī
maut kā ek din muayyan hai niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī ab kisī baat par nahīñ aatī
jāntā huuñ savāb-e-tā.at-o-zohd par tabī.at idhar nahīñ aatī
hai kuchh aisī hī baat jo chup huuñ varna kyā baat kar nahīñ aatī
kyuuñ na chīḳhūñ ki yaad karte haiñ merī āvāz gar nahīñ aatī
dāġh-e-dil gar nazar nahīñ aatā bū bhī ai chārāgar nahīñ aatī
ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī
marte haiñ aarzū meñ marne kī maut aatī hai par nahīñ aatī
kaaba kis muñh se jāoge ‘ġhālib’ sharm tum ko magar nahīñ aatī
3 views0 comments