- Kanika Chauhan
Be-Qarari si Be-Barari hai
JAUN ELIYA
be-qarārī sī be-qarārī hai vasl hai aur firāq taarī hai
jo guzārī na jā sakī ham se ham ne vo zindagī guzārī hai
nighare kyā hue ki logoñ par apnā saaya bhī ab to bhārī hai
bin tumhāre kabhī nahīñ aa.ī kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai
aap meñ kaise aa.uuñ maiñ tujh bin saañs jo chal rahī hai aarī hai
us se kahiyo ki dil kī galiyoñ meñ raat din terī intizārī hai
hijr ho yā visāl ho kuchh ho ham haiñ aur us kī yādgārī hai
ik mahak samt-e-dil se aa.ī thī maiñ ye samjhā tirī savārī hai
hādsoñ kā hisāb hai apnā varna har aan sab kī baarī hai
ḳhush rahe tū ki zindagī apnī umr bhar kī umīd-vārī hai
1 view0 comments